اردو हिंदी
KHwah sach jaan meri baat ko tu KHwah ki jhuT | Shaahi Shayari
KHwah sach jaan meri baat ko tu KHwah ki jhuT

Ghazal

KHwah sach jaan meri baat ko tu KHwah ki jhuT

Meer Hasan

;

KHwah sach jaan meri baat ko tu KHwah ki jhuT
sach kahun sach ko agar tere to wallah ki jhuT

sach agar bole tu hum se to bhala kya ho KHushi
ji mein ji aata hai sun kar tera har gah ki jhuT

rast gar puchhe to hai rast ki tujh mein nahin mehr
apni haT-dharmi se kahta hai tu ai mah ki jhuT

jhuT-muT un se main kuchh maslahatan bolunga
sach hai tu bol na uThiyo dil-e-agah ki jhuT

main jo puchha ki tujhe ghairon se hai rah to wo
pher kar munh ko laga kahne be-ikarah ki jhuT

koi itna bhi bura karta hai meri hi tarah
kyun bhala sach hai na ye ai but-e-dil-KHwah ki jhuT

dil to waqif hai bahut wan se Tuk ek sach kahna
lawbaali hai mere yar ki dargah ki jhuT

mujh se jab milta hai tab chheD ke puchhe hai yahi
ye 'hasan' sach hi to rakhta hai meri chah ki jhuT

kya jawab us ka mere pas ba-juz KHamoshi
ya magar ye ki yahi har gah kahun aah ki jhuT