KHwabon ki lazzaton pe thakan ka ghilaf tha
aankhen lagin to nind ka maidan saf tha
diwar-e-dil se utri hain taswiren sainkaDon
pasmanda KHwahishon se use iKHtilaf tha
dekha qarib ja ke to sharmindagi hui
chehre pe apne gard thi aaina saf tha
ab ke safar mein dhup ki dariya-dili na puchh
aur saya-e-shajar se mera iKHtilaf tha
Ghazal
KHwabon ki lazzaton pe thakan ka ghilaf tha
Sultan Akhtar