KHwabon ka intiKHab badalta dikhai de
kash ab ki iKHtiyar sanwarta dikhai de
sayyaad ke hunar ki sataish nahin ho ab
jis ko hai par nasib wo uDta dikhai de
itni na intishaar ki hiddat ho ru-ba-ru
insan gham-e-hayat mein jalta dikhai de
kya wo hisab dars mein rakkhega kaenat
jis ka yahan wajud shikasta dikhai de
Ghazal
KHwabon ka intiKHab badalta dikhai de
Azhar Hashmi