KHwab-zada viranon tak 
pahunchi nind Thikanon tak 
aawazon ke dariya mein 
gharq hue hum shanon tak 
bagh asasa hai apna 
wo bhi zard zamanon tak 
bench pe phaili KHamoshi 
pahunchi peD ke kanon tak 
ishq-ibaadat karte log 
jagen rose azanon tak 
kirnen milne aati hain 
ghar ke raushan-danon tak 
zard udasi chhai hai 
kheton se khaliyanon tak
        Ghazal
KHwab-zada viranon tak
Mubashshir Saeed

