KHwab us ke hain jo chura le jae
nind us ki hai jo uDa le jae
zulf us ki hai jo use chhu le
baat us ki hai jo bana le jae
tegh us ki hai shaKH-e-gul us ki
jo use khinchta hua le jae
us se kahna ki kya nahin us pas
phir bhi darwesh ki dua le jae
zaKHm ho to koi duhai de
tir ho to koi uTha le jae
qarz ho to koi ada kar de
hath ho to koi chhuDa le jae
lau diye ki nigah mein rakhna
jaane kis samt rasta le jae
dil mein aabaad hain jo sadiyon se
un buton ko kahan KHuda le jae
kab na jaane ubal paDe chashma
kab ye sahra mujhe baha le jae
KHwab aisa ki dekhte rahiye
yaad aisi ki hafiza le jae
main gharib-ud-dayar mera kya
mauj le jae ya hawa le jae
KHak hona hi jab muqaddar hai
ab jahan baKHt-e-na-rasa le jae
Ghazal
KHwab uske hain jo chura le jae
Rasa Chughtai