اردو हिंदी
KHwab to KHwab hain tabir badal kar dekhun | Shaahi Shayari
KHwab to KHwab hain tabir badal kar dekhun

Ghazal

KHwab to KHwab hain tabir badal kar dekhun

Khalid Jamal

;

KHwab to KHwab hain tabir badal kar dekhun
us paheli ko zara main bhi to hal kar dekhun

apne chehre ki lakiron se pareshan nahin
zaKHm taza hai so aaina sambhal kar dekhun

rang aur nur se hairan hain aankhen meri
un manazir ko zara dur se chal kar dekhun

in fazaon mein bikhar jaun main KHushbu ki tarah
is chaman-zar se bahar bhi nikal kar dekhun

ab meri rae se tu itna bhi hairan na ho
zawiya hai to na kyun is ko badal kar dekhun