اردو हिंदी
KHwab Thahra sar-e-manzil na tah-e-baam kabhi | Shaahi Shayari
KHwab Thahra sar-e-manzil na tah-e-baam kabhi

Ghazal

KHwab Thahra sar-e-manzil na tah-e-baam kabhi

Hasan Nayeem

;

KHwab Thahra sar-e-manzil na tah-e-baam kabhi
is musafir ne uThaya nahin aaram kabhi

shab-ba-KHair us ne kaha tha ki sitare larze
hum na bhulenge judai ka wo hangam kabhi

sar-kashi apni hui kam na umiden TuTin
mujh se kuchh KHush na gaya mausam-e-alam kabhi

hum se aawaron ki sohbat mein hai wo lutf ki bas
do-ghaDi mil to sahi gardish-e-ayyam kabhi

ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta
puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi