KHwab tere hain ye KHwabon ka nagar tera hai
zikr-e-anfas mein har sham-o-sahar tera hai
jalwa har-gam sar-e-rah guzar tera hai
aankh meri hai magar husn-e-nazar tera hai
be-irada jo uThe hain wo qadam mere hain
be-mahaba jo guzarta hai safar tera hai
meri be-rabt duaon ko rasai de de
lafz mere hain magar bab-e-asar tera hai
zindagi kahta hun main jis ko zaban mein apni
wo safar mera sahi izn-e-safar tera hai
sarhaden hain meri nazron ki ye mehr-o-mahtab
aur un se bhi jo aage hai wo dar tera hai
nasl-o-mazhab ki koi qaid nahin hai 'gauhar'
zikr har lab pe ba-alfaz-e-digar tera hai
Ghazal
KHwab tere hain ye KHwabon ka nagar tera hai
Gauhar Usmani