اردو हिंदी
KHwab tabir mein badalta hai | Shaahi Shayari
KHwab tabir mein badalta hai

Ghazal

KHwab tabir mein badalta hai

Yashab Tamanna

;

KHwab tabir mein badalta hai
us mein lekin zamana lagta hai

jab use chahaten mayassar hon
KHud-baKHud aadmi badalta hai

pahle ye dil kahan dhaDakta tha
ab har ek baat par dhaDakta hai

han meri KHwahishen ziyaada hain
han wo is baat ko samajhta hai

sar-ba-sar wasl ki tamanna mein
wo badan ruh mein utarta hai

raat bhi ban-sanwar ke aati hai
din bhi utra ke ab nikalta hai

ho ke said-e-gham-e-jahan ye khula
gham se ek rasta nikalta hai