KHwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi
is musafir ne uThaya nahin aaram kabhi
rashk-e-mahtab hai ek dagh-e-tamanna kab se
dil ka nazzara karo aa ke sar-e-sham kabhi
shab-ba-KHair us ne kaha tha ki sitare larze
hum na bhulenge judai ka wo hangam kabhi
sarkashi apni hui kam na ummiden TuTin
mujh se kuchh KHush na gaya mausam-e-alam kabhi
hum se aawaron ki sohbat mein hai wo lutf ki bas
do ghaDi mil to sahi gardish-e-ayyam kabhi
ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta
puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi
nudrat-e-fikr ne gar sath jo chhoDa to 'naim'
apne sar lenge tatabbo ka na ilzam kabhi
Ghazal
KHwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi
Hasan Nayeem