اردو हिंदी
KHwab ke rang dil-o-jaan mein sajae bhi gae | Shaahi Shayari
KHwab ke rang dil-o-jaan mein sajae bhi gae

Ghazal

KHwab ke rang dil-o-jaan mein sajae bhi gae

Jaun Eliya

;

KHwab ke rang dil-o-jaan mein sajae bhi gae
phir wahi rang ba-sad taur jalae bhi gae

unhin shahron ko shitabi se lapeTa bhi gaya
jo ajab shauq-e-faraKHi se bichhae bhi gae

bazm shoKHi ka kisi ki kahen kya haal-e-jahan
dil jalae bhi gae aur bujhae bhi gae

pusht miTTi se lagi jis mein hamari logo
usi danggal mein hamein daw sikhae bhi gae

yaad-e-ayyam ki ek mahfil-e-jaan thi ki jahan
hath khinche bhi gae aur milae bhi gae

hum ki jis shahr mein the sog-nashin-e-ahwal
rose is shahr mein hum dhum machae bhi gae

yaad mat rakhiyo ye rudad hamari hargiz
hum the wo taj-mahal 'jaun' jo Dhae bhi gae