KHwab ka aks kahan KHwab ki tabir mein hai
mujh ko malum hai jo kuchh meri taqdir mein hai
meri rudad-e-mohabbat ko na sunne wale
tujh mein wo baat kahan jo teri taswir mein hai
paikar-e-KHak bhi hun bais-e-kaunain bhi hun
kitna ijaz numayan meri tafsir mein hai
phul ban kar bhi ye ehsas shagufe ko nahin
meri taKHrib ka pahlu meri tamir mein hai
husn ke sath tujhe husn-e-wafa bhi milta
isi halqe ki zarurat teri zanjir mein hai
wusat-e-daman-e-rahmat ki qasam khata hun
uzr-e-taqsir bhi daKHil-e-had-e-taqsir mein hai
ek tahdar ye misra hai jawab-e-KHat mein
kis qadar shoKH-bayani teri tahrir mein hai
kya tamasha hai ye ai pa-e-junun-e-ruswa
kabhi zanjir se bahar kabhi zanjir mein hai
jaane kab us pe ujale ko taras aaega
wo siyah-posh faza jo meri taqdir mein hai
guftugu hoti hai aksar shab-e-tanhai mein
ek KHamosh takallum teri taswir mein hai
meri nazron mein yahi husn-e-taghazzul hai 'uruj'
sher-goi ka maza pairwi-e-'mir' mein hai

Ghazal
KHwab ka aks kahan KHwab ki tabir mein hai
Urooj Zaidi Badayuni