KHwab bikhrenge to hum ko bhi bikharna hoga
shab ki ek ek aziyyat se guzarna hoga
wo hamare hi rag-o-pai mein nihan rahta hai
is ki tasdiq to ek din hamein karna hoga
apne KHakistar-e-tan ko liye kuche kuche
kya hawaon ki tarah mujh ko guzarna hoga
hamein ahbab ki be-laus rifaqat ke sabab
waqt aaega to be-maut bhi marna hoga
honge sahraon ke sannaTe nazar ki had mein
koi wadi na koi KHwab na jharna hoga
aaina aaina KHud sari dishaen hongi
aks-dar-aks magar hum ko ubharna hoga
chiKHte KHwabon ki tabir yahi kahti hai
hogi haDtal kahin to kahin dharna hoga
Ghazal
KHwab bikhrenge to hum ko bhi bikharna hoga
Anwar Minai