KHwab aaram nahin KHwab pareshani hai
mere bistar mein aziyyat ki farawani hai
mujh ko to wo bhi hai malum jo malum nahin
ye samaj-bujh nahin hai meri nadani hai
kuchh use sochne deta hi nahin apne siwa
mera mahbub to mere liye zindani hai
hai musibat mein giraftar musibat meri
jo bhi mushkil hai wo mere liye aasani hai
mauja-e-mai hai bahut mere sukun par betab
zabt-e-girya se mere jam mein tughyani hai
main gunahgar-e-tamanna hun mujhe qatl karo
dil to haara hai magar haar nahin mani hai
Ghazal
KHwab aaram nahin KHwab pareshani hai
Akbar Masoom