KHwab aankhon se zaban se har kahani le gaya
muKHtasar ye hai wo meri zindagani le gaya
phul se mausam ki barsaten hawaon ki mahak
ab ke mausam ki wo sab shamen suhani le gaya
de gaya mujh ko sarabon ka sukut-e-mustaqil
mere ashkon se wo dariya ki rawani le gaya
KHak ab uDne lagi maidan sahra ho gae
ret ka tufan dariyaon se pani le gaya
kaun pahchanega 'zarrin' mujh ko itni bhiD mein
mere chehre se wo apni har nishani le gaya
Ghazal
KHwab aankhon se zaban se har kahani le gaya
Iffat Zarrin