KHun patton pe jama ho jaise
phul ka rang hara ho jaise
barha ye hamein mahsus hua
dard sine ka KHuda ho jaise
yun taras kha ke na puchho ahwal
tir sine pe laga ho jaise
phul ki aankh mein shabnam kyun hai
sab hamari hi KHata ho jaise
kirchen chubhti hain bahut sine mein
aaina TuT gaya ho jaise
sab hamein dekhne aate hain magar
nind aankhon se KHafa ho jaise
ab charaghon ki zarurat bhi nahin
chand is dil mein chhupa ho jaise
roz aati thi hua us ki tarah
ab wo aaya to hawa ho jaise
Ghazal
KHun patton pe jama ho jaise
Bashir Badr