اردو हिंदी
KHun mein tar sabr ki chadar kahan le jaoge | Shaahi Shayari
KHun mein tar sabr ki chadar kahan le jaoge

Ghazal

KHun mein tar sabr ki chadar kahan le jaoge

Iffat abbas

;

KHun mein tar sabr ki chadar kahan le jaoge
zindagani ko barahna-sar kahan le jaoge

aa gae ahkaam-e-nawwab bolna mamnua hai
tum suKHnawar lab-e-gustar kahan le jaoge

TuT jaenge zawabit chiKH uTThega zamir
dur nazron se har ek manzar kahan le jaoge

tark-e-aula ki saza ye pattharon ka shahr hai
ab bhala ye kanch ka paikar kahan le jaoge

shauq ke pur-pech raste aur anasir sang-e-mil
gar uTha bhi lo to ye patthar kahan le jaoge

aagahi ka rizq kab malta hai aur kis samt se
kasa-e-zauq-e-nazar dar dar kahan le jaoge

hijr ki shab ka hai ye pichhla pahar uTho 'shahab'
ro chuke shab bhar ye chashm-tar kahan le jaoge