KHun kis kis ka hua sadqe teri talwar par
fasl-e-gul dhabbe hain lakhon daman-e-gulzar par
ab raha dil ta-qayamat abru-e-KHam-dar par
kya haTega wo jo gardan rakh chuka talwar par
fasl-e-gul ruKHsat hui ro lijiye gulzar par
bas yahi do-tin pankhuDiyan hain ya do-chaar par
wasl-e-furqat ki shaben donon mein nind aati nahin
hans raha hun ro raha hun tala-e-bedar par
intiha par ishq aa kar ho gaya hai ain husn
maut ki bhi aankh paDti hai tere bimar par
wasl se mayus ho kar kaam mera ban gaya
saikDon iqrar sadqe ho gae inkar par
main nahin lakhon paDe hain muD ke pichhe dekhiye
naqsh-e-pa ghash kha gae hain shoKHi-e-raftar par
dagh walon ke nasheman shab ko bhi chhupte nahin
dhup si phaili hui hai bagh ki diwar par
gardanen wo KHam kiye hain jin ke sar hain bar-e-KHun
tu agar KHud-bin nahin Dal ek nazar talwar par
ashk-rezan-e-chaman se KHanda-e-gul dab gaya
os paDti hai nai har shab sar-e-gulzar par
ek ek rag de rahi hai lau wufur-e-soz se
naz hai 'saqib' ko apne KHilat-e-zar-tar par

Ghazal
KHun kis kis ka hua sadqe teri talwar par
Saqib Lakhnavi