KHun-e-dil mujh se tera rang-e-hina mange hai
ya hatheli pe koi naqsh-e-wafa mange hai
jo sada deta raha dar-o-rasan tohfe mein
hum faqiron se wahi harf-e-dua mange hai
kya hua hai ki rifaqat ka bharam rakhne ko
mujh se mahbub mera zaKHm naya mange hai
shahar mein dhansta hai fitne ki nai daldal mein
kya qayamat hai ki mera hi pata mange hai
kuchh samajh mein nahin aata hai mizaj-e-yaran
jis ko dekho wahi izhaar-e-wafa mange hai
wo to wahshat mein kabhi samjhe hai mujh ko qatil
aur kabhi kucha-e-qatil ka pata mange hai
aql par parda paDa hai ki suKHnawar 'anjum'
din ke mahaul mein bhi kali rida mange hai
Ghazal
KHun-e-dil mujhse tera rang-e-hina mange hai
Ghayas Anjum