اردو हिंदी
KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha | Shaahi Shayari
KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha

Ghazal

KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha

Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi

;

KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha
ye tamasha ishq mein sham-o-sahar hota raha

is jahan-e-ab-o-gil mein yun basar hoti rahi
muskuraate bhi rahe daman bhi tar hota raha

aarzuon ko taDap kar nind si aati gai
qissa-e-bimar-e-gham yun muKHtasar hota raha

in ki baaton par yaqin hum umar bhar karte rahe
intizar-e-sham-e-wada umr bhar hota raha

talKHi-e-gham se na pal bhar ke liye fursat mili
umr bhar go chaara-e-dard-e-jigar hota raha