KHun aansu ban gaya aaankhon mein bhar jaane ke baad
aap aae to magar tufan guzar jaane ke baad
chand ka dukh banTne nikle hain ab ahl-e-wafa
raushni ka sara shiraaza bikhar jaane ke baad
hosh kya aaya musalsal jal raha hun hijr mein
ek sunahri raat ka nashsha utar jaane ke baad
zaKHm jo tum ne diya wo is liye rakkha hara
zindagi mein kya bachega zaKHm bhar jaane ke baad
sham hote hi charaghon se tumhaari guftugu
hum bahut masruf ho jate hain ghar jaane ke baad
zindagi ke nam par hum umar bhar jite rahe
zindagi ko hum ne paya bhi to mar jaane ke baad
Ghazal
KHun aansu ban gaya aaankhon mein bhar jaane ke baad
Azm Shakri