KHubiyon ko masKH kar ke aib jaisa kar diya
hum ne yun aibon ki aabaadi ko duna kar diya
tai to ye tha har badi ki intiha tak jaenge
be-KHayali mein ye kaisa kaam achchha kar diya
mujh se kal mahfil mein us ne muskura kar baat ki
wo mera ho hi nahin sakta ye pakka kar diya
chilchilati-dhup thi lekin tha saya ham-qadam
saeban ki chhanw ne mujh ko akela kar diya
main bhi ab kuchh kuchh samajhne lag gaya hun ai tabib
dard ne sine mein uTh kar kya ishaara kar diya

Ghazal
KHubiyon ko masKH kar ke aib jaisa kar diya
Sabir