اردو हिंदी
KHuban ke bich jaanan mumtaz hai sarapa | Shaahi Shayari
KHuban ke bich jaanan mumtaz hai sarapa

Ghazal

KHuban ke bich jaanan mumtaz hai sarapa

Faez Dehlvi

;

KHuban ke bich jaanan mumtaz hai sarapa
andaz-e-dilbari mein ejaz hai sarapa

pal pal maTak ke dekhe Dag Dag chale laTak ke
wo shoKH chhal chhabila tannaz hai sarapa

tirchhi nigah karna katra ke baat sunna
majlis mein aashiqon ki andaz hai sarapa

nainon mein us ki jadu zulfan mein us ki phanda
dil ke shikar mein wo shahbaz hai sarapa

ghamza nigah taghaful ankhiyan siyah o chanchal
ya rab nazar na lage andaz hai sarapa

us ke KHiram upar taus mast haiga
wo mir dil-rababi tannaz hai sarapa

kisht-e-ummid karta sarsabz sabza-e-KHat
anjam-e-husn us ka aaghaz hai sarapa

waqt-e-nazara 'faez' dildar ka yahi hai
bistar nahin badan par tan-baz hai sarapa