KHub hathon-hath badla mil gaya bedad ka
aashiyan mera jala ghar jal gaya sayyaad ka
ye KHulasa muKHtasar hai ishq ki rudad ka
shauq hai un ko satane ka hamein fariyaad ka
har giraftar-e-qafas qaidi hai be-miad ka
chhoD bhi deta hai ji chahe agar sayyaad ka
wah mujh aise muqayyad ko laqab aanra ka
maslahat sayyaad ki hai ya karam sayyaad ka
ab kya karta hai matam bulbul-e-nashad ka
dil larazta hai taqayya dekh kar sayyaad ka
hashr us din dekhna har bani-e-be-dad ka
jab zamin tanbe ki hogi aasman faulad ka
kya meri fariyaad ka un par asar hota nahin
jo unhen malum ho jata sabab fariyaad ka
kahte hain be-qaida fariyaad hum sunte nahin
phir batate bhi nahin wo qaeda fariyaad ka
ek KHud-bin ko hua jis waqt KHud-bini ka shauq
ban gaya manDan sare aalam-e-ijad ka
kuchh meri fariyaad bhi un par asar karti nahin
aur kuchh wo bhi asar lete nahin fariyaad ka
aashiqi sar phoD lene ke siwa kuchh bhi nahin
hum to ye samjhe hain sun kar majra farhad ka
dam ka kya zikr hai main banda-e-be-dam hun
shamat aai phans gaya munh dekh kar sayyaad ka
intizam-e-ab-o-dana hai na tanzim-e-qafas
mujh se puchho bolta shahkar hun sayyaad ka
nala-o-fariyaad bahr-e-aish ho jab ai safi'
phir kahan tasir nale ki asar fariyaad ka

Ghazal
KHub hathon-hath badla mil gaya bedad ka
Safi Aurangabadi