اردو हिंदी
KHushk dariyaon ko pani de KHuda | Shaahi Shayari
KHushk dariyaon ko pani de KHuda

Ghazal

KHushk dariyaon ko pani de KHuda

Obaid Siddiqi

;

KHushk dariyaon ko pani de KHuda
baadbanon ko rawani de KHuda

be-samaat kar de sare shahr ko
ya mujhe phir be-zabani de KHuda

kab talak be-mojaza ho kar jiyun
koi to apni nishani de KHuda

chhuT jaun wusaton ki qaid se
wahshaton ko la-makani de KHuda

saikaDon ham-zad hain mere yahan
mujh ko lekin mera sani de KHuda