KHushk aankhon se nikal kar aasman par phail ja 
ai ghubar-e-arzu ta-hadd-e-manzar phail ja 
motiyon ki aabruen luTne wale bahut 
sip ke qaidi samundar-dar-samundar phail ja 
yun palak par jagmagana do ghaDi ka aish hai 
raushni ban kar mere andar hi andar phail ja 
aa mere sine se lag ja tu agar sailab hai 
aur KHushbu hai to ja basti mein ghar ghar phail ja 
naqsh-e-pa pamal rahon par laga dega tujhe 
raste mein gard ki manind uD kar phail ja
 
        Ghazal
KHushk aankhon se nikal kar aasman par phail ja
Muzaffar Hanfi

