KHushk aaankhon se kahan tai ye masafat hogi
dil ko samjhaya tha ashkon ki zarurat hogi
rang mahlon ke hasin KHwab se bach kar rahna
hai KHabar garm ki KHwabon ki tijarat hogi
apne ghar KHud hi pasheman sa lauT aaya hun
main samajhta tha use meri zarurat hogi
meri tanhai sukun dene lagi hai mujh ko
us se mat kahna sunega to nadamat hogi
KHushk lab pyas ki taswir ke andar rakh do
pyas bujh jaegi dariya ko bhi hairat hogi
silsila jalte charaghon ka chalo KHatm hua
tirgi KHush hai hawaon ko bhi rahat hogi
kab sahar phuTegi koi tere zindanon se
kab rihai meri ai shahr-e-aziyyat hogi
jaise mumkin ho in ashkon ko bachao 'tariq'
sham aai to charaghon ki zarurat hogi
Ghazal
KHushk aaankhon se kahan tai ye masafat hogi
Tariq Qamar