KHushi se phulen na ahl-e-sahra abhi kahan se bahaar aai
abhi to pahuncha hai aablon tak mera mazaq-e-barhana-pai
tere mufakkir samajh na pae mizaj-e-tahzib-e-mustafai
usul-e-johd-e-baqa ke bande buland hai zauq-e-KHud-fanai
KHalil mast-e-mai-e-junun tha magar main tum se ye puchhta hun
raza-e-haq ki chhuri ke niche hayat aai ki maut aai
jo qillat-e-sim-o-zar ka gham hai to aao qaisar ke jaanashino
tumhaari KHatir zara jhuka dun main apna ye kasa-e-gadai
baja tera naz-e-be-niyazi magar ye insaf bhi nahin hai
ki teri duniya mein tere bande buton ki dete phiren duhai
nadim tariKH-e-fath-e-danish bas itna likh kar tamam kar de
ki shatiran-e-jahan ne aaKHir KHud apni chaalon se mat khai
chalo ki 'faruq' mai-kade mein dimagh taza to pahle kar len
phir aa ke ahl-e-haram ko denge payam-e-tajdid-e-parsai
Ghazal
KHushi se phulen na ahl-e-sahra abhi kahan se bahaar aai
Farooq Banspari