KHushi mein gham ki haalat kar ke dekhun
use apni zarurat kar ke dekhun
zamana kah raha hai jaane kya kya
kabhi main bhi mohabbat kar ke dekhun
nazar mein ab yahi ek rasta hai
ki KHwabon ko haqiqat kar ke dekhun
chale hain aasman chhune kai log
zara main bhi to himmat kar ke dekhun
KHud apne aap se ek rose 'qaisar'
main apni hi shikayat kar ke dekhun

Ghazal
KHushi mein gham ki haalat kar ke dekhun
Noorul Ain Qaisar Qasmi