KHushi kya ho jo meri baat wo but man jata hai
maza to behad aata hai magar iman jata hai
banun council mein speaker to ruKHsat qiraat-e-misri
karun kya membari jati hai ya quran jata hai
zawal-e-jah o daulat mein bas itni baat achchhi hai
ki duniya mein ba-KHubi aadmi pahchan jata hai
nai tahzib mein diqqat ziyaada to nahin hoti
mazahib rahte hain qaim faqat iman jata hai
theater raat ko aur din ko yaron ki ye speechen
duhai laT sahab ki mera iman jata hai
jahan dil mein ye aai kuchh kahun wo chal diya uTh kar
ghazab hai fitna hai zalim nazar pahchan jata hai
chunan burdund sabr az dil ke qisse yaad aate hain
taDap jata hun ye sun kar ki ab iman jata hai
Ghazal
KHushi kya ho jo meri baat wo but man jata hai
Akbar Allahabadi