KHushbu sa koi din to sitara si koi sham
bhejo to kabhi nur ka dhaara si koi sham
poron se nikal kar ye kahan jati hai jaane
aati hi nahin hath mein para si koi sham
yaadon ki hawaon mein baDa zor tha shayad
hai bikhri paDi panw mein gara si koi sham
rahti hai mere kamre mein kui tera udasi
ai shoala badan bhej sharara si koi sham
is din ke samundar mein jo shal hote hain bazu
aflak se aati hai kinara si koi sham
hum roz hi dafnate hain bujhta hua suraj
phir DhunDne jate hain sahaara si koi sham

Ghazal
KHushbu sa koi din to sitara si koi sham
Saleem Figar