KHushbu ki tarah aaya wo tez hawaon mein
manga tha jise hum ne din raat duaon mein
tum chhat pe nahin aae main ghar se nahin nikla
ye chand bahut bhaTka sawan ki ghaTaon mein
is shahr mein ek laDki bilkul hai ghazal jaisi
bijli si ghaTaon mein KHushbu si adaon mein
mausam ka ishaara hai KHush rahne do bachchon ko
masum mohabbat hai phulon ki KHataon mein
hum chand sitaron ki rahon ke musafir hain
hum raat chamakte hain tarik KHalaon mein
bhagwan hi bhejenge chawal se bhari thaali
mazlum parindon ki masum sabhaon mein
dada baDe bhole the sab se yahi kahte the
kuchh zahr bhi hota hai angrezi dawaon mein
Ghazal
KHushbu ki tarah aaya wo tez hawaon mein
Bashir Badr