KHushbu badan ki KHali samundar hawaon ke
kyun chheDte hain hum ko payambar sadaon ke
dekhi na jae hum se pareshan barahnagi
chunte hain apne jism mein patthar ridaon ke
phir bund bund Tapki hamare badan se dhup
phir aks aks bikhre hain manzar fazaon ke
ye aur baat apni hi tah tak na ja sake
utre the chand par bhi shanawar KHalaon ke
tapte rahe hain KHamushi ka zahr umr-bhar
shayad wo jaante the muqaddar duaon ke
'iraj' sada-e-rang mahakne lagi hawa
qaus-e-quzah ne khol diye par ghaTaon ke

Ghazal
KHushbu badan ki Khaali samundar hawaon ke
Muzaffar Iraj