اردو हिंदी
KHush-fahmiyon ko ghaur ka yara nahin raha | Shaahi Shayari
KHush-fahmiyon ko ghaur ka yara nahin raha

Ghazal

KHush-fahmiyon ko ghaur ka yara nahin raha

Yaqoob Usmani

;

KHush-fahmiyon ko ghaur ka yara nahin raha
tufan ki zad se dur kinara nahin raha

baDh baDh ke DhunDhte hain panahen nai nai
fitnon ko tirgi ka sahaara nahin raha

bita bayan baha-e-tamanna baDha gain
naqd-e-sukun ganwa ke KHasara nahin raha

baqi tha jis ke dam se bharam ehtiyaj ka
himmat ko wo karam bhi gawara nahin raha

nazan hai apni fath pe is tarah maut aaj
jaise koi hayat ka mara nahin raha

KHurshid inqalab ka aaina ho to ho
mizhgan se gir ke ashk sitara nahin raha

'yaqub' lamhe lamhe se zahir hai be-ruKHi
sahil-nawaz waqt ka dhaara nahin raha