KHush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha
kaghaz ki naw thi jise dariya aziz tha
ai tangi-e-dayar-e-tamanna bata mujhe
wo panw kya hue jinhen sahra aziz tha
puchho na kuchh ki shahr mein tum ho nae nae
ek din mujhe bhi sair o tamasha aziz tha
be-as intizar o tawaqqo baghair shak
ab tum se kya kahen hamein kya kya aziz tha
wada-KHilafiyon pe tha shikwon ka inhisar
jhuTa sahi magar mujhe wada aziz tha
ek rasm-e-bewafai thi wo bhi hui tamam
wo yar-e-bewafa mujhe kitna aziz tha
yaaden mujhe na jurm-e-talluq ki den saza
mera koi na main hi kisi ka aziz tha
Ghazal
KHush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha
Nashtar Khaanqahi