KHumar-e-shab mein use main salam kar baiTha
jo kaam karna tha mujh ko wo kaam kar baiTha
qaba-e-zard pahan kar wo bazm mein aaya
gul-e-hina ko hatheli mein tham kar baiTha
chhupa gaya tha mohabbat ka raaz main to magar
wo bhol-pan mein suKHan dil ka aam kar baiTha
jo so ke uTTha to rasta ujaD lagta tha
pahunchna tha mujhe manzil pe sham kar baiTha
thakan safar ki badan shal sa kar gai hai 'munir'
bura kiya jo safar mein qayam kar baiTha
Ghazal
KHumar-e-shab mein use main salam kar baiTha
Muneer Niyazi