KHulus ho to dua mein asar bhi aata hai
shajar hara ho to us mein samar bhi aata hai
meri samaat o binai chhinne wale
main sun bhi sakta hun mujh ko nazar bhi aata hai
tumhein charagh bujhane ka zoam hai lekin
hamein tulu-e-sahar ka hunar bhi aata hai
kalisa o haram o dair mohtaram lekin
inhin ki zad mein kahin mera ghar bhi aata hai
falak-nashin sahi mera KHuda magar 'mohsin'
kabhi kabhi wo zamin par utar bhi aata hai
Ghazal
KHulus ho to dua mein asar bhi aata hai
Mohsin Ehsan