اردو हिंदी
KHulus-e-alfaz kaam aaya nigah-e-ahl-e-fitan se pahle | Shaahi Shayari
KHulus-e-alfaz kaam aaya nigah-e-ahl-e-fitan se pahle

Ghazal

KHulus-e-alfaz kaam aaya nigah-e-ahl-e-fitan se pahle

Arshi Bhopali

;

KHulus-e-alfaz kaam aaya nigah-e-ahl-e-fitan se pahle
nawed-e-dil ne mujhe pukara sada-e-dar-o-rasan se pahle

wajud-e-charKH-e-kuhan se pahle qayam-e-dar-o-rasan se pahle
hamin the tere chaman ki zinat bahaar-e-husn-e-chaman se pahle

sukut-e-gham ki ada ada ko samajh saken kash ahl-e-alam
ishaara-ha-e-latif bhi hain jabin pe naqsh-e-shikan se pahle

bahaar-e-be-kaif kis liye hai gulon pe rang-e-shikast kyun hai
abhi to kitni hi bijliyan hain chaman mein tark-e-chaman se pahle