khula na mujh se tabiat ka tha bahut gahra
hazar us se raha rabta bahut gahra
bas is qadar ki ye hijrat ki umr kaT jae
na mujh gharib se rakh silsila bahut gahra
sab apne aaine us ne mujhi ko saunp diye
use shikast ka ehsas tha bahut gahra
mujhe tilism samajhta tha wo sarabon ka
baDha jo aage samundar mila bahut gahra
shadid pyas ke aalam mein Dubne se bacha
qadah to kya mujhe qatra laga bahut gahra
tu us ki zad mein jo aaya to Dub jaega
ba-qadr-e-ab hai har aaina bahut gahra
milenge rah mein tujh ko charagh jalte hue
kahin kahin hai mera naqsh-e-pa bahut gahra
talash-e-mani-e-maqsud itni sahl na thi
main lafz lafz utarta gaya bahut gahra
jo baat jaan-e-suKHan thi wahi rahi ojhal
liya to us ne mera jaeza bahut gahra
qadim hote hue mujh se bhi jadid hai wo
asar hai us pe mere daur ka bahut gahra
'faza' hamein to hai kafi yahi KHumar-e-wajud
hai be-sharab bhi hasil nasha bahut gahra
Ghazal
Khula na mujhse tabiat ka tha bahut gahra
Faza Ibn e Faizi