khul ke barasna aur baras kar phir khul jaana dekha hai
hum se puchho!! un aankhon ka ek zamana dekha hai
tum ne kaise man liya wo thak kar baiTh gaya hoga
tum ne to KHud apni aankhon se wo diwana dekha hai
manzil tak pahunchen ki na pahunchen rah magar apni hogi
tu rahne de waiz tera rah batana dekha hai
dhul ka ek zarra na uDe aawaz kare parchhain bhi
maut bhi aa kar marti nahin thi wo virana dekha hai
gulshan se hum sikh na pae waqti KHushiyon ko jina
jabki hum ne fasl-e-gul ka aana jaana dekha hai
dil to sada hai teri har baat ko sachcha manta hai
aql ne baaten karte tera aankh churana dekha hai
lafz dawa hai lekin is ke sath hi kuchh parhez bhi hai
lafz ke bais pal mein khona pal mein pana dekha hai
Ghazal
Khul ke barasna aur baras kar phir khul jaana dekha hai
Ajmal Siddiqi