khul ke baaten karen sunaen sab
koi to ho jise bataen sab
raat phir kashmakash mein guzri hai
thoDa batla den ya chhupaen sab
kuchh to apne liye bhi rakhna hai
zaKHm auron ko kyun dikhaen sab
le chalun aao tum ko manzil tak
mujh se kahti hain ye dishaen sab
kaam logon ke dil ko bha jae
dil agar kaam mein lagaen sab

Ghazal
Khul ke baaten karen sunaen sab
Salman Akhtar