KHudi ki shoKHi o tundi mein kibr-o-naz nahin
jo naz ho bhi to be-lazzat-e-niyaz nahin
nigah-e-ishq dil-e-zinda ki talash mein hai
shikar-e-murda saza-war-e-shahbaz nahin
meri nawa mein nahin hai ada-e-mahbubi
ki bang-e-sur-e-sarafil dil-nawaz nahin
sawal-e-mai na karun saqi-e-farang se main
ki ye tariqa-e-rindan-e-pak-baz nahin
hui na aam jahan mein kabhi hukumat-e-ishq
sabab ye hai ki mohabbat zamana-saz nahin
ek iztirab musalsal ghayab ho ki huzur
main KHud kahun to meri dastan daraaz nahin
agar ho zauq to KHalwat mein paDh zubur-e-ajam
fughan-e-nim-shabi be-nawa-e-raaz nahin
Ghazal
KHudi ki shoKHi o tundi mein kibr-o-naz nahin
Allama Iqbal