KHuddari-e-hayat ko ruswa nahin kiya
hum ne kabhi zamir ka sauda nahin kiya
jaan se aziz tha hamein dastar ka waqar
zalim ko sar to de diya sajda nahin kiya
phir lab pe tere kalma-e-afsos kis liye
main ne to tere jabr ka shikwa nahin kiya
manDla raha hai aaj jo sahil ke ird-gard
tufan ko to tum ne ishaara nahin kiya
us ke ruKH-e-jamil ke aae jo ru-ba-ru
mahtab aisa charKH ne paida nahin kiya
garche mere qalam ke KHaridar kam na the
mere zamir hi ne gawara nahin kiya

Ghazal
KHuddari-e-hayat ko ruswa nahin kiya
Ram Awtar Gupta Muztar