KHuda se waqt-e-dua hum sawal kar baiThe
wo but bhi dil ko zara ab sambhaal kar baiThe
kiya hai aankh ki gardish se pis kar surma
wo be-chale hi mujhe paemal kar baiThe
tamam umr pareshan rakha dam-e-aKHir
bala se meri pareshan wo baal kar baiThe
chale hain tur ko musa magar hamein matlab
ki hum buton hi mein ye dekh-bhaal kar baiThe
rawan hain ashk kisi ke firaq mein ya rab
koi na pursish-e-wajh-e-malal kar baiThe
bura ho ulfat-e-KHuban ka ham-nashin hum to
shabab hi mein bura apna haal kar baiThe
na ilm hai na zaban hai to kis liye 'mahrum'
tum apne aap ko shair KHayal kar baiThe
Ghazal
KHuda se waqt-e-dua hum sawal kar baiThe
Tilok Chand Mahroom