KHuda ne chaha to sab intizam kar denge
ghazal pe aae to matla mein kaam kar denge
paDe rahen to qalandar uThen to fitna hain
hamein jagaya to ninden haram kar denge
tumhaare jaise jiye aur kuchh nahin kar pae
hamare jaise mare bhi to nam kar denge
hum aaj bhi hain zamin par magar yahi Dar hai
ye tabsire hamein aali-maqam kar denge
tum ek umr se tamhid likh rahe ho 'shuja'
hum ek lafz mein qissa tamam kar denge
Ghazal
KHuda ne chaha to sab intizam kar denge
Shuja Khaavar

