اردو हिंदी
KHuda nasib kare jis ko sohbaten meri | Shaahi Shayari
KHuda nasib kare jis ko sohbaten meri

Ghazal

KHuda nasib kare jis ko sohbaten meri

Kausar Niyazi

;

KHuda nasib kare jis ko sohbaten meri
na bhul pae kabhi wo hikayaten meri

kahan gae meri masruf saaton ke rafiq
sadaen deti hain ab un ko fursaten meri

tamam shahr gurezan hai aaj kal jaise
kisi ke nam na lag jaen tohmaten meri

KHuda ka shukr ki main KHud-shanas hun warna
samajhta kaun pur-asrar aadaten meri

main apni zat ke sahra mein kho gaya 'kausar'
meri nazar se bhi ojhal hain wusaten meri