اردو हिंदी
KHuda ko bhi nahin dil manta hai | Shaahi Shayari
KHuda ko bhi nahin dil manta hai

Ghazal

KHuda ko bhi nahin dil manta hai

Jigar Barelvi

;

KHuda ko bhi nahin dil manta hai
mohabbat hi mohabbat jaanta hai

kahin ho laD hi jati hain nigahen
wo dil ko dil use pahchanta hai

kalid-e-bagh us ke baKHt mein hai
paDa jo KHak-e-sahra chhanta hai

dayar-e-gham hai firaunon ki basti
koi kis ko yahan gardanta hai

kal us se puchh lenge haal hai kya
bahut jo aaj sina tanta hai

kahin se DhunD kar lao 'jigar' ko
ilaj-e-dard-e-dil wo jaanta hai