اردو हिंदी
KHuda jab tak na chahe aadmi se kuchh nahin hota | Shaahi Shayari
KHuda jab tak na chahe aadmi se kuchh nahin hota

Ghazal

KHuda jab tak na chahe aadmi se kuchh nahin hota

Makhmoor Dehlvi

;

KHuda jab tak na chahe aadmi se kuchh nahin hota
mujhe malum hai meri KHushi se kuchh nahin hota

mohabbat jazba-e-isar se parwan chaDhti hai
KHulus-e-dil na ho to dosti se kuchh nahin hota

wahan tera karam tera bharosa kaam aata hai
jahan majbur ho kar aadmi se kuchh nahin hota

ziya-e-shams bhi maujud hai nur-e-qamar bhi hai
basirat hi na ho to raushni se kuchh nahin hota

gharaz tere siwa har ek ko majbur pata hun
bharosa jis pe karta hun usi se kuchh nahin hota

KHud apne haal se uljhe hue hain tere diwane
hanse jae zamane ki hansi se kuchh nahin hota

mohabbat bad-guman ho jae to zinda nahin rahti
asar dil par tumhaari be-ruKHi se kuchh nahin hota