KHuda bhi kaisa hua KHush mere qarine par
mujhe shahid ka darja mila hai jine par
khanDar ke gumbad o mehrab jag uTThenge
use kaho ki wo dhire se aae zine par
lakir hai na koi rang hai na kalma hai
ye kaisa naqsh banaya hai mere sine par
abhi umid nai wusaton ki qaem hai
abhi wo lauT ke aaya nahin safine par
chhaten bhi baT chukin aangan bhi baT chuke lekin
chhiDi hai jang ki haq kis ka hai dafine par
Ghazal
KHuda bhi kaisa hua KHush mere qarine par
Muzaffar Abdali