اردو हिंदी
KHuda ali-gaDh ki madrase ko tamam amraaz se shifa de | Shaahi Shayari
KHuda ali-gaDh ki madrase ko tamam amraaz se shifa de

Ghazal

KHuda ali-gaDh ki madrase ko tamam amraaz se shifa de

Akbar Allahabadi

;

KHuda ali-gaDh ki madrase ko tamam amraaz se shifa de
bhare hue hain rais-zade amir-zade sharif-zade

latif o KHush-waza chust-o-chaalak o saf-o-pakiza shad-o-KHurram
tabiaton mein hai un ki jaudat dilon mein un ke hain nek irade

kamal mehnat se paDh rahe hain kamal ghairat se baDh rahe hain
sawar mashriq ki rah mein hain to maghribi rah mein piyaade

har ek hai un mein ka be-shak aisa ki aap use jaante hain jaisa
dikhae mahfil mein qadd-e-rana jo aap aaen to sar jhuka de

faqir mangen to saf kah den ki tu hai mazbut ja kama kha
qubul farmaen aap dawat to apna sarmaya kul khila de

buton se un ko nahin lagawaT mison ki lete nahin wo aahaT
tamam quwwat hai sarf-e-KHwandan nazar ke bhole hain dil ki sade

nazar bhi aae jo zulf-e-pechan to samjhen ye koi policy hai
electric light us ko samjhen jo barq-wash koi koi de

nikalte hain kar ke ghol-bandi ba-nam-e-tahzib o dard-mandi
ye kah ke lete hain sab se chande hamein jo tum do tumhein KHuda de

unhen isi baat par yaqin hai ki bas yahi asal kar-e-aden hai
isi si hoga farogh-e-qaumi isi se chamkenge bap dade

makan-e-college ke sab makin hain abhi unhen tajrabe nahin hain
KHabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaisi jade

dilon mein un ke hai nur-e-iman qawi nahin hai magar nigahban
hawa-e-mantiq ada-e-tifli ye shama aisa na ho bujha de

fareb de kar nikale matlab sikhae tahqir-e-din-o-mazhab
miTa de aaKHir ko waz-e-millat numud-e-zati ko gar baDha de

yahi bas 'akbar' ki iltija hai janab-e-bari mein ye dua hai
ulum-o-hikmat ka dars un ko professor den samajh KHuda de